Tum Yaad Aa Gaye

Nikali mohabbat ki baat, to tum yaad aa gaye.
Uthe dil mai woh jazbaat, to tum yaad aa gaye.
yuun to dil mera bebas na rehta tha
par badle jab halaat, to tum yaad aa gaye.
Garmi ne sukha diya tha teri yaadon ko magar
Hui jab barsaat, to tum yaad aa gaye.
In haathon mein hamesha raheta tha haath tera
Dekhe khaali mere haath, to tum yaad aa gaye.
Tum to rehte the taaron ki basti mai
Dekha jo khali aasman, to tum yaad aa gaye.
Nahi sochoongi tere baare mai yeh kaha tha magar
dekha jo koi khawaab, to tum yaad aa gaye.
Bhula ke tujh ko saari umar guzaar dete
Jab chhoda zindagi ne saath, to tum yaad aa gaye